First and Largest Academic Social Network of LIS Professionals in India
Kitaaben jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
badi hasrat se takti hain
maheenon ab mulaqaaten nahin hoti
jo shaamen un ki sohbat main kataa karti thi,ab aksar
guzar jaati hain computer ke pardon par
badi bechain rehti hain kitaaben
Unhe ab neend mein chalne ki aadat ho gayi hai
badi hasrat se takti hain
jo qadren woh sunaati thi
ki jin ke cell kabhi marte nahin the
woh qadren ab nazar aati nahin ghar mein
jo rishte woh sunaati thi
woh saare udhde udhde hain.
Koi safha palatTa hun toh ek siski nikalti hai
kayi lafzon ke maani gir pade hain
bina patton ke sookhe tund lagte hain woh sab alfaaz
jin par ab koi maani nahin ugte
bahut si istelaahen hain.
Jo mitti ke sakoron ki tarah bikhri padi hain
gilaason ne unhen matrook kar dala
zabaan par zaaiqa aata tha jo safhe palatne ka
ab ungli click karne se bas ek
jhapki guzarti hai
bahut kuchh tah-b-tah khulta chala jaata hai parde par.
Kitabon se jo zaati raabta tha kat gaya hai
kabhi seene pe rakh ke lett jaate the
kabhi godi mein lete the
kabhi ghutnon ko apne rahl ki soorat bana kar
neem sajde mein padha karte the, chhoote the jabhee se.
Woh saara ilm toh milta rahega aainda bhi
magar woh jo kitaabon mein mila karte the sookhe phool aur
mehke hue ruqe
kitaaben maangne, girne, uthaane ke bahaane rishte bante the
un ka kya hoga ?
woh shayad ab nahin honge. !!
– Gulzar
Tags:
Wow!!! Gyan ka bhandaar hai ye.
v good n great lines!
NiiiiCCCCCCCeeeeeeeeeeeeee
Many Many thanks Ms. Sonia Gaur.
Thanks for quoting the immortal alfaaz of great Gulzar Saab!
Being associated with books for so many years, witnessed the spectacular varieties of using books but in the cyber age what I wonder at this particular moment (on the eve of the so hyped Valentine's Day) is the one particular use of books which remains immortal in Gulzar Saab's pen:
kitaaben maangne, girne, uthaane ke bahaane rishte bante the
un ka kya hoga ?
woh shayad ab nahin honge. !!
Siddhartha S. Ray, Calcutta
© 2024 Created by Dr. Badan Barman. Powered by